Jabb Se Judi Hai Guruji Se Seedhi Taar (01/11/2022)

January 11, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1423

Jabb Se Judi Hai Guruji Se Seedhi Taar

Taruvar ke patton kee sarsaraahat
Hawa ke har jhonke kee aahat
Ekant mein basee hui veh raahat
Inse duur ho jaati hai meri thakaavat.

Prakriti ke aise anmol nazaaron se
Aksar karti hoon baat
Akelapan nahin hota
Kyunki Guruji sada hotey Hain saath.

Jabb se judi hai Guruji se seedhi taar
Nazariye mein hua hai salona sudhaar
Mann kee aankhein nihaarti hain Guruji ka dwaar
Guruji kee divya pukaar ka hee rehta hai intazaar.

Har taruvar ka har patta, har din aur har raat
Ye sab hain Unhee kee dee hui saugat
Ye dharti, akash, agni, vayu, aur yeh jal
Guruji ka hukm paate hee andaaz lete hain badal.

Baat hee kuch aisee hai pyaare Guruji mein
Ki har koi aakarshit ho jaata hai Unkee oar
Waqt bhi Unka das hai, usey na nachaa sakey koi aur
Unke ek aadesh se ho jaati hai raat mein bhi bhor.

Guruji, anantam Shukrana aisee bhor ka
Ye bol hai mere mann ke moar ka
Kudrat ke har karishme ko mai nihaari jaaon
Aapki divya leela par toh mai vaari jaaoon.

Prakriti Aapke aanchal mein jaaye sambhal
Meri jaagriti badhe jaise jaise har din ka sooraj jaaye dhal
Taaki mai Aapki kripa se aane wali subah mein
Srishti ko apna sakaaraatmak yogdaan de paaoon
Sumat bakhshiye daata mere, ki mai Aapki har raza mein
Samarpan aur shukrana ke bhaav se raazi reh paaoon.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jabb Se Judi Hai Guruji Se Seedhi Taar (01/11/2022)

Satguru Kee Nadar Se (01/10/2022)

January 10, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1422

             Satguru Kee Nadar Se

Satguru kee nadar se ho jaata hai bhakt ka uddhaar
Satguru kee mehar se sanvar jaata hai sansaar
Satguru kee mehar hee toh laati hai jeevan ke rukh par nikhaar
Satguru kee mehar se ho jaata hai beda paar.

Chaahe mayoosi ke mahaul mein lamba lagey intazaar
Uss dauran bhi Guruji laa rahe hotey Hain sudhaar
Chaahe bhakt dekh nahin sakta apni seemit drishti ke paar
Guruji laa rahe hotey Hain bhavishya mein
kalyaan kee bahaar.

Guruji Hain MahaShiv roopi Parwardigaar
Unse miltee Hain saugatein beshumaar
Isliye zaroori hai giraani sanshay kee deewar
Taaki ve saugatein hum takk pahunchein Guruji ke hukm ke anusaar.

Guruji chaahte Hain ki kumm kumm se ho hamaara intazaar
Tabhi toh sewa, simran, satsang karne ko kehte Hain paalanhaar
Inhee se behtar hota jaata hamaara bhi vyavhaar
Aur Guruji kee mahima karte karte waqt beet jaata bin todey sabr kee deewar.

Aur phir Guruji ke aagey toh waqt kee bhi hoti hai haar
Aise paraakrami Hain hamaare Satguru sarkar
Paap harte aur karmon ka bhaar lete Hain Ve taaranhaar
Bheetar se saaf karne ka vaada nibhaate Hain sirjanhaar.

Har moad par har raah par Unka saath hota hai har baar
Kabhi akele nahin chodte chaahe aayein museebatein hazaar
Jo doojon ne chheen liya ho, vaapis dilaate Hain veh adhikaar
Har pal yaad dilaate Hain ki Unkee mahima hai aparampaar.

Maanav chole mein nahin Hain abb, phir bhi Unkee maujoodagi se koi nahin kar sakta inkaar
Har shraddhaalu bhaktjann ko hai is satya se ikraar
Ruhaani raaste par chalaakar samjhaate Hain Ve jeevan ka mool saar
Moksh ke liye tayyaar kar ke vahaan takk le jaate Hain kirpadhaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Satguru Kee Nadar Se (01/10/2022)

Shri Guru Gobind Singh Ji Ka Prakash Purab (01/09/2022)

January 9, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻# 1421

Shri Guru Gobind Singh Ji Ka Prakash Purab

1666 mein Patna ke shehar mein
December 22 ke shubh pehar mein
Maa Gujri aur Guru Tegh Bahadur ke putr ka hua janam
Jinke noor se aur bhi roshan hua insaaniyat ka dharam.

Nau varsh kee chhoti aayu mein
Baney Ve sikhon ke dusvein Guru
Prerit karne lagey samaaj ko
Hui Unkee guruyaayee shuru.

Pehle Unka Gobind Rai thaa naam
Thei Ve kavi aur yoddha mahaan
Phir Ve Guru Gobind Singh ji kehlaaye
Aur Unhonei bhakton ke bhaagya sajaaye.

1699 mein Baisakhi ka din banaa yaadgaar
Khalsa panth kee sthaapana se kritagya hua sansaar
Guru Gobind Singh ji ne Anandpur mein kiya aayojit ek sammelan
Aur panj pyaaron ko karaakar amrit paan kiya Unhonei unka kalyaan.

Kanga, Kara, kachchera, kesh, aur kirpaan
Tabhi se huey Khalsa kee shaan aur unka maan
Guru Gobind Singh ji ne anyaaya ke khilaaf awaaz uthaayee
Unke har kaam mein pramanit hui Unkee vadiyaayee.

Shri Guru Granth Sahib ji ko Unhonei kiya poorna
In granth ko Guru ka darja dekar sammaan diya sampoorna
Har moad par Ve nirdhan aur nirbal ke saath rahe khade
Paapon ko mitaane ke liye Unhonei Mughalon se kayee yuddh ladey.

Dharma ke liye apne poore parivaar ka kar diya balidaan
Sarbansdaani keh kar pukaare gaye, kar ke Ve aisa daan.
Sant sipaahi bhi bulaaya jaata thaa Unhe pyaar se
Sabhi bhakt itne anugrihit thei aise Nirankar se.

Shri Guru Gobind Singh ji kee shakti aur bhakti dono thei aparampaar
Vaani mein thi madhurta, vyavhaar mein thaa pyaar
Satya kee jeet hogi hee hogi, Ve kehte thei baar baar
Karmayog ke siddhaanton se sushobhit thaa Unke jeevan ka saar.

Anyaaya se ladte ladte mughalon dwaara saha Unhonei atyachaar
Lekin dharma par aanch na aane di, itne mahaan thei Guru Gobind Singh ji ke vichaar
Apni mehar aur mahima se nikhaari Unhonei kitnon kee taqdeer
October 7, 1708 ko tyaag diya Unhonei Apna shareer.

Guruji apni sangat ko sunvaayein Gurbani
Jinke shravan aur manan se sanvar jaaye zindagaani
Guru ke ashish se nikhar jaati hai kismat kee kahaani
Satguru amrit kee khan Hain, Unkee mehar se tarr jaate hain hum sabb praani.

Aaj hai Guru Gobind Singh ji ke janam divas ka shubh avsar
Gurbani ka shravan, manan aur anusaran karte rehne ka vaada karein hum is parv par
Shri Guru Gobind Singh ji ke Prakash Purab ki ho sabhi ko bahut badhaayi
Yeh paawan tithi sab bhakton ke liye sadbhaav ka paigaam hai laayi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Shri Guru Gobind Singh Ji Ka Prakash Purab (01/09/2022)

Aapke Aashirwaad Ke Bin (01/08/2022)

January 8, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1420

Aapke Aashirwaad Ke Bin

Pyaare pyaare Guruji,

Na hai meri koi aukat
Phir bhi milee hai Aapke ashirwaad kee saugat
Is se shubh nahin hai mere liye koi bhi baat
Is saugat ke liye mai Aapka dhanyawaad karoon din raat.

Atyant hitkaari hai Aapka paawan ashish
Milee hai isee ashish dwara simran aur sewa karne kee bakhshish
Aap Devon ke Dev Hain, aur Hain har praani ke Ish
Aap hee Jagdish Hain, Aap hee Hain Gireesh.

Yeh saans jo mai le paati hoon
Yeh sees jo mai nivaati hoon
Har kaam jo mai kar paati hoon
Veh Aapki mehar kee misaal hai
Varna meri aukat toh itnee tucch hai
Kyunki meri atma toh paapon se maalamaal hai.

Yeh prakriti ka nirmal nazaara
Akash mein timtimaata har tara
Yeh sansaar saara ka saara
Sakriya hai paakar Aapka sahaara.

Bhakton ke gunaahon ko Aapne sada hai baksha
Karte Hain sadaiv Apne bachchon kee Aap raksha
Mai bhi hoon Aapki ek aisee hee bachchi
Aapke bin hoon kuch bhi nahin, yeh baat hai shat pratishat sachchi.

Meri toh poori kaayinaat mein ek tinke kee bhi aukat nahin
Kaise jaan sakoon mai ki mere liye kya galat hai aur kya sahi
Aap maargdarshan karte rehna taaki mai chalti rahun vaheen
Jahaan Aapko sajda karte huey jhuki rahe zameen
Jahaan Aapki mehar ke barasne se spandan ho shubh aur haseen
Kyunki Aapke ashirwaad ke bin toh chayyn nahin hai kaheen.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Aashirwaad Ke Bin (01/08/2022)

Yeh Shukrguzaar Dil (12/07/2022)

January 7, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1419

              Yeh Shukrguzaar Dil

Guruji, aaj yeh shukraguzaar dil Aapse ye kahe
Ki mai atyant aabhaari hoon Aapki ki Aapne mere liye itne kasht Hain sahe
Jabb jabb meri in aankhon se gumm ke aansoo bahe
Aap khushi ka paigaam liye mere bhavishya ko sanvaarte rahe.

Maa bannkar mujhe Apni goad mein Aapne uthaaya
Pita bannkar Aapne dhandhas bandhaaya
Meet kee bhanti sukh dukh mein saath nibhaaya
Bhai bannkar raksha ka ehsaas dilaaya.

Murshid ke roop mein adhyatmik adhyayan shuru karaaya
Sureshwar Hain Aap, Aapne har pal yeh anubhav karaaya
Maargdarshak bhi Hain Aap, isliye har kadam par raasta dikhaaya
Chikitsak Hain Aap, mere har ghav par mamta ka marham lagaaya.

Galatiyon se seekhne ka mujhe mauka diya
Saath rahe jabb jabb kisee ne mujhe dhokha diya
Shukr hai Aapne mujhe Apni sharan mein liya hai
Shukr hai ki Aapne sahaara diya hai.

Mere buss ka nahin hai yeh jeevan, mere Bhagwan
Isliye na chodna kabhi bhi mera haath
Mujhe toh sada chaahiye Aapka saath
Mai keh rahi hoon apne dil kee baat.

Shikaayat karne ka jurm kabhi karoon
Toh maaf karne kee keejiyega meharbaani
Aapke saath ke sangg Aapka Shukrana karte karte
Beet jaaye meri yeh zindagaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Yeh Shukrguzaar Dil (12/07/2022)

Khoobsoorat Sila (01/06/2022)

January 6, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1418

                Khoobsoorat Sila

Zamaane ke taur tareeke na mai samajh paayi
Aaspaas dekhkar kuch kuch mai ghabraayi
Shukr hai Guruji, ki Aapke bulaave kee awaaz mujhe aayi
Jo mujhe Aapki sharan mein laayi.

Aapne mujhe itna pyaar diya
Atmavishwaas beshumaar diya
Aapne atyant dulaar diya
Ek baar nahin, baarambaar diya.

Maine apna haal-e-dil Aapko suna diya
Aapne itne sneh se mujhe samjhaa diya
Ki Aapne mera saara bhaar liya
Aur meri kayi mushkilon ka hal bataa diya.

Meri niraasha ko mere dil-o-jaan se Aapne hataa diya
Aapne mere har sanshay ko mitaa diya
Meri saari uljhanon ko Aapne suljhaa diya
Sewa, simran, satsang ka mahatva bhi samjhaa diya.

Sewa karne ka mera armaan poorna kiya
Meri pooja ko sweekaar kar Aapne usey sampoorna kiya
Mujhe samarpan sikhaane ka farz adaa kiya
Apni sharan mein suraksha ka ehsaas Aapne sada diya.

Aapka bahut bahut shukriya
Ki mujhe raasta dikha diya
Aapke naam ka amrit jo mainey chakha aur peeya
Toh Aapne Apna naam japna sikha diya.

Ummeed aur ullaas ka ujjwal deeya
Aapne mere mann mandir mein jalaa diya
Aapne mujhe sanatan uphaar diya
Jo Aapne Apne saath ka khoobsoorat sila diya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Khoobsoorat Sila (01/06/2022)

Sadbhaav Se Susajjit Vandan (01/05/2022)

January 5, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1417

Sadbhaav Se Susajjit Vandan

Kisee ka manobal giraana
Shaayad is kalyuga mein bann gaya hai ek shauk
Lekin tum bilkul bhi vivash na hona
Chaahe ho jitnee bhi zamaane kee roak toak.

Sajaakar maathe par vibhooti vishwaas kee
Guruji ke naam se kar ke shuddhi har shwaas kee
Tum Guruji ke dikhaaye raaste par chalo hokar nirbhay
Guruji tumhaare saath Hain har pal bin kisee sanshay.

Manobal badhaate chalo neevenpann ke saath
Mumkin hai doojon ko bhi milegi prerna
Shaayad tumhe Guruji ka anusaran karte huey dekh
Jaag uthegi unkee bhi chetna.

Kewal maree hui machlee behti hai paani ke bahaav ke sangg
Isliye subuddhi aur manobal se alankrit karo apne dhangg
Maree hui machlee matt bano tum
Bheed mein na ho jaao gumm.

Chaahe kalyuga ka patjhad ka mausam bhakti ke taruvar par daale apna zoar
Tum na honei dena apne manobal aur apni shraddha ko kamzor
Tum apne sadbhaav ke nirmal patton ko na girne dena
Tum har pal pyaare Guruji ka naam lena.

Isliye aagey badhne ka karte raho tum prayaas
Bann kar tum pyaare Guruji ke daas
Aur kisee ka anusaran nahin, Guruji ka karo anusaran
Apna har kaarya karo Guruji ke charnon mein arpan.

Patjhad beetega aur aayega basant
Tumhaare samarpan bhare prayaas se taruvar par patte hongei anant
Tumhaara manobal phailaayega apna shubh spandan
Aur rangg laayega tumhaara sadbhaav se susajjit vandan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sadbhaav Se Susajjit Vandan (01/05/2022)

Intazaar (01/04/2022)

January 4, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1416

                         Intazaar

Ayb hain hum mein anginat
Khaamiyon se bhi hum hain bhare
Aisa honei ke baavjood bhi
Guruji sada hum bhakton kee raksha karein.

Sada sunte Hain Ve hamaari vandan bhari pukaar
Bin hamaare boley jaante Hain sab, zaroorat nahin kehne kee ek bhi baar
Phir bhi moorkhtaavash hum keh dete hain kayi baar
Kyunki hamein nahin bhaata hai karna intazaar.

Lekin is intazaar mein basta hai ek aisa safar
Jiska hamaare bhavishya par hota hai gehra asar
Kyunki nishchay hee is intazaar ke dauran
Guruji intazaam kar rahe hotey Hain hamaare kalyaan ka
Isliye is safar ko tayy karein hum sabr aur shraddha se
Taaki rangg laaye ashirwaad MahaShiv Bhagwaan ka.

Yeh intazaar bhi hai Guruji ke prem kee nishaani
Is dauran Ve sanvaar rahe hotey Hain hamaari zindagaani
Intazaar ko karva vish na samjho, ye toh meetha amrit hai
Isko shraddha se sweekaarne mein hamaara hee hitt hai.

Is intazaar mein hai Guruji ka paawan pyaar
Bina vilamb, poore vishwaas se karo is pyaar ka ikraar
Is intazaar ke khatm honei par awashya milega ashish roopi uphaar
Is intazaar ko Shukrana kehte huey karo tum sweekar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Intazaar (01/04/2022)

Atma-Nireekshan (01/03/2022)

January 3, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1415

                 Atma-Nireekshan

Kyun na har kshan
Karein hum atma-nireekshan
Taaki jaagrit rahe hamaara mann
Aur rahe veh atma-sudhaar mein magn.

Guruji ka naam veh kavach hai
Jo karta hai hamaari raksha
Guruji ka naam hai veh anmol dhan
Jis se safal ho paayega atma-nireekshan.

Karte rahenge jo Guruji ke naam ka hum simran
Toh nipun ho jaayega atma-nireekshan
Aur saath saath karein hum atma-samarpan
Aur saaf karte rahein mann ka darpan.

Atma-nireekshan se apni trutiyon ko pehchaanein
Unhe duur karne ka karein abhyaas
Nek neeyat se jo hum koshish karenge
Toh zaroor safal hoga yeh prayaas.

Atma-nireekshan se panj choron ko karein majboor
Ki ve hum par na karte rahein aakraman
Jitnee koshish karenge subah aur shaam
Utna hee saral hota jaayega yeh kaam.

Jitnee dhan-daulat badhe, utna zyada adaa karein farz gupt daan ka
Prayaas karein swayam ke charitra ke nirmaan ka
Mann mein badhaate chalein utsah is armaan ka
Is se hoga sammaan Guruji mein basey Bhagwaan ka.

Dheere dheere saaf hoga mann
Bann jaayega veh sadasheel upvan
Mann mein hogi sadbhaav kee hariyaali
Mann kee gati hogi shubh aur niraali.

Chaahe atma-nireekshan ko samjhein hum majboori
Ye har haal mein hai zaroori
Isee se atma-sudhaar kee koshish hogi poori
Aur kumm hogi atma aur Paramatama ke beech kee duri.

Is duri ko mitaana hee toh hai
Is zindagi ka maqsad
Isey poora karne ke liye
Paar kar dein hum har hadd.

Aisee hadd paar karne mein hee hai asal uddhaar
Mann ko apna daas banaayein, taaki veh sudhaar ko karey sweekaar
Atma-nireekshan mein jo hoga sabka apne apne mann se saakshaatkaar
Toh sabke uddhaar se unnat ho jaayega yeh saara sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Atma-Nireekshan (01/03/2022)

Parwardigaar Ka Paawan Pyaar (01/02/2022)

January 2, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1414

Parwardigaar Ka Paawan Pyaar

Yahaan der nahin andher nahin
Gar der ho toh vahee hai sahi
Yahaan waqt par sada se Guruji kee hukoomat hai rahi
Ye Guruji ka darbaar hai, yahaan saboori beshumaar hai.

Yahaan bichhde huey mil jaate hain
Yahaan patjhad mein phool khil paate hain
Yahaan atal pahaad hil jaate hain
Ye Guruji ka darbar hai, yahaan himmat baarambaar hai.

Yahaan neeyat ko parkhaa jaata hai
Yahaan insaaf mil paata hai
Yahaan Guruji ka bulaava laata hai
Ye Guruji ka darbar hai, yahaan nyaaya ka aadhaar hai.

Yahaan har mausam mein basant kee taazagi hai
Yahaan saralta, yahaan saadagi hai
Yahaan kayion kee soyi kismat jagi hai
Yeh Guruji ka darbar hai, yahaan sadbhaav kee bahaar hai.

Yahaan kalyaan aur komalta hai
Yahaan niswaarthta aur nirmalta hai
Yahaan taralta hai
Yeh Guruji ka darbar hai, yahaan mamta aparampaar hai.

Yahaan sewa, simran, satsang hai
Yahaan Guruji ka sanatan sangg hai
Yahaan samarpan aur shukrana ka rangg hai
Yeh Guruji ka darbar hai, yahaan Parwardigaar ka paawan pyaar hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Parwardigaar Ka Paawan Pyaar (01/02/2022)