Aapke Aashirwaad Ke Bin (01/08/2022)

January 8, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1420

Aapke Aashirwaad Ke Bin

Pyaare pyaare Guruji,

Na hai meri koi aukat
Phir bhi milee hai Aapke ashirwaad kee saugat
Is se shubh nahin hai mere liye koi bhi baat
Is saugat ke liye mai Aapka dhanyawaad karoon din raat.

Atyant hitkaari hai Aapka paawan ashish
Milee hai isee ashish dwara simran aur sewa karne kee bakhshish
Aap Devon ke Dev Hain, aur Hain har praani ke Ish
Aap hee Jagdish Hain, Aap hee Hain Gireesh.

Yeh saans jo mai le paati hoon
Yeh sees jo mai nivaati hoon
Har kaam jo mai kar paati hoon
Veh Aapki mehar kee misaal hai
Varna meri aukat toh itnee tucch hai
Kyunki meri atma toh paapon se maalamaal hai.

Yeh prakriti ka nirmal nazaara
Akash mein timtimaata har tara
Yeh sansaar saara ka saara
Sakriya hai paakar Aapka sahaara.

Bhakton ke gunaahon ko Aapne sada hai baksha
Karte Hain sadaiv Apne bachchon kee Aap raksha
Mai bhi hoon Aapki ek aisee hee bachchi
Aapke bin hoon kuch bhi nahin, yeh baat hai shat pratishat sachchi.

Meri toh poori kaayinaat mein ek tinke kee bhi aukat nahin
Kaise jaan sakoon mai ki mere liye kya galat hai aur kya sahi
Aap maargdarshan karte rehna taaki mai chalti rahun vaheen
Jahaan Aapko sajda karte huey jhuki rahe zameen
Jahaan Aapki mehar ke barasne se spandan ho shubh aur haseen
Kyunki Aapke ashirwaad ke bin toh chayyn nahin hai kaheen.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Aashirwaad Ke Bin (01/08/2022)

Yeh Shukrguzaar Dil (12/07/2022)

January 7, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1419

              Yeh Shukrguzaar Dil

Guruji, aaj yeh shukraguzaar dil Aapse ye kahe
Ki mai atyant aabhaari hoon Aapki ki Aapne mere liye itne kasht Hain sahe
Jabb jabb meri in aankhon se gumm ke aansoo bahe
Aap khushi ka paigaam liye mere bhavishya ko sanvaarte rahe.

Maa bannkar mujhe Apni goad mein Aapne uthaaya
Pita bannkar Aapne dhandhas bandhaaya
Meet kee bhanti sukh dukh mein saath nibhaaya
Bhai bannkar raksha ka ehsaas dilaaya.

Murshid ke roop mein adhyatmik adhyayan shuru karaaya
Sureshwar Hain Aap, Aapne har pal yeh anubhav karaaya
Maargdarshak bhi Hain Aap, isliye har kadam par raasta dikhaaya
Chikitsak Hain Aap, mere har ghav par mamta ka marham lagaaya.

Galatiyon se seekhne ka mujhe mauka diya
Saath rahe jabb jabb kisee ne mujhe dhokha diya
Shukr hai Aapne mujhe Apni sharan mein liya hai
Shukr hai ki Aapne sahaara diya hai.

Mere buss ka nahin hai yeh jeevan, mere Bhagwan
Isliye na chodna kabhi bhi mera haath
Mujhe toh sada chaahiye Aapka saath
Mai keh rahi hoon apne dil kee baat.

Shikaayat karne ka jurm kabhi karoon
Toh maaf karne kee keejiyega meharbaani
Aapke saath ke sangg Aapka Shukrana karte karte
Beet jaaye meri yeh zindagaani.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Yeh Shukrguzaar Dil (12/07/2022)

Khoobsoorat Sila (01/06/2022)

January 6, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1418

                Khoobsoorat Sila

Zamaane ke taur tareeke na mai samajh paayi
Aaspaas dekhkar kuch kuch mai ghabraayi
Shukr hai Guruji, ki Aapke bulaave kee awaaz mujhe aayi
Jo mujhe Aapki sharan mein laayi.

Aapne mujhe itna pyaar diya
Atmavishwaas beshumaar diya
Aapne atyant dulaar diya
Ek baar nahin, baarambaar diya.

Maine apna haal-e-dil Aapko suna diya
Aapne itne sneh se mujhe samjhaa diya
Ki Aapne mera saara bhaar liya
Aur meri kayi mushkilon ka hal bataa diya.

Meri niraasha ko mere dil-o-jaan se Aapne hataa diya
Aapne mere har sanshay ko mitaa diya
Meri saari uljhanon ko Aapne suljhaa diya
Sewa, simran, satsang ka mahatva bhi samjhaa diya.

Sewa karne ka mera armaan poorna kiya
Meri pooja ko sweekaar kar Aapne usey sampoorna kiya
Mujhe samarpan sikhaane ka farz adaa kiya
Apni sharan mein suraksha ka ehsaas Aapne sada diya.

Aapka bahut bahut shukriya
Ki mujhe raasta dikha diya
Aapke naam ka amrit jo mainey chakha aur peeya
Toh Aapne Apna naam japna sikha diya.

Ummeed aur ullaas ka ujjwal deeya
Aapne mere mann mandir mein jalaa diya
Aapne mujhe sanatan uphaar diya
Jo Aapne Apne saath ka khoobsoorat sila diya.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Khoobsoorat Sila (01/06/2022)

Sadbhaav Se Susajjit Vandan (01/05/2022)

January 5, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1417

Sadbhaav Se Susajjit Vandan

Kisee ka manobal giraana
Shaayad is kalyuga mein bann gaya hai ek shauk
Lekin tum bilkul bhi vivash na hona
Chaahe ho jitnee bhi zamaane kee roak toak.

Sajaakar maathe par vibhooti vishwaas kee
Guruji ke naam se kar ke shuddhi har shwaas kee
Tum Guruji ke dikhaaye raaste par chalo hokar nirbhay
Guruji tumhaare saath Hain har pal bin kisee sanshay.

Manobal badhaate chalo neevenpann ke saath
Mumkin hai doojon ko bhi milegi prerna
Shaayad tumhe Guruji ka anusaran karte huey dekh
Jaag uthegi unkee bhi chetna.

Kewal maree hui machlee behti hai paani ke bahaav ke sangg
Isliye subuddhi aur manobal se alankrit karo apne dhangg
Maree hui machlee matt bano tum
Bheed mein na ho jaao gumm.

Chaahe kalyuga ka patjhad ka mausam bhakti ke taruvar par daale apna zoar
Tum na honei dena apne manobal aur apni shraddha ko kamzor
Tum apne sadbhaav ke nirmal patton ko na girne dena
Tum har pal pyaare Guruji ka naam lena.

Isliye aagey badhne ka karte raho tum prayaas
Bann kar tum pyaare Guruji ke daas
Aur kisee ka anusaran nahin, Guruji ka karo anusaran
Apna har kaarya karo Guruji ke charnon mein arpan.

Patjhad beetega aur aayega basant
Tumhaare samarpan bhare prayaas se taruvar par patte hongei anant
Tumhaara manobal phailaayega apna shubh spandan
Aur rangg laayega tumhaara sadbhaav se susajjit vandan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sadbhaav Se Susajjit Vandan (01/05/2022)

Intazaar (01/04/2022)

January 4, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1416

                         Intazaar

Ayb hain hum mein anginat
Khaamiyon se bhi hum hain bhare
Aisa honei ke baavjood bhi
Guruji sada hum bhakton kee raksha karein.

Sada sunte Hain Ve hamaari vandan bhari pukaar
Bin hamaare boley jaante Hain sab, zaroorat nahin kehne kee ek bhi baar
Phir bhi moorkhtaavash hum keh dete hain kayi baar
Kyunki hamein nahin bhaata hai karna intazaar.

Lekin is intazaar mein basta hai ek aisa safar
Jiska hamaare bhavishya par hota hai gehra asar
Kyunki nishchay hee is intazaar ke dauran
Guruji intazaam kar rahe hotey Hain hamaare kalyaan ka
Isliye is safar ko tayy karein hum sabr aur shraddha se
Taaki rangg laaye ashirwaad MahaShiv Bhagwaan ka.

Yeh intazaar bhi hai Guruji ke prem kee nishaani
Is dauran Ve sanvaar rahe hotey Hain hamaari zindagaani
Intazaar ko karva vish na samjho, ye toh meetha amrit hai
Isko shraddha se sweekaarne mein hamaara hee hitt hai.

Is intazaar mein hai Guruji ka paawan pyaar
Bina vilamb, poore vishwaas se karo is pyaar ka ikraar
Is intazaar ke khatm honei par awashya milega ashish roopi uphaar
Is intazaar ko Shukrana kehte huey karo tum sweekar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Intazaar (01/04/2022)

Atma-Nireekshan (01/03/2022)

January 3, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1415

                 Atma-Nireekshan

Kyun na har kshan
Karein hum atma-nireekshan
Taaki jaagrit rahe hamaara mann
Aur rahe veh atma-sudhaar mein magn.

Guruji ka naam veh kavach hai
Jo karta hai hamaari raksha
Guruji ka naam hai veh anmol dhan
Jis se safal ho paayega atma-nireekshan.

Karte rahenge jo Guruji ke naam ka hum simran
Toh nipun ho jaayega atma-nireekshan
Aur saath saath karein hum atma-samarpan
Aur saaf karte rahein mann ka darpan.

Atma-nireekshan se apni trutiyon ko pehchaanein
Unhe duur karne ka karein abhyaas
Nek neeyat se jo hum koshish karenge
Toh zaroor safal hoga yeh prayaas.

Atma-nireekshan se panj choron ko karein majboor
Ki ve hum par na karte rahein aakraman
Jitnee koshish karenge subah aur shaam
Utna hee saral hota jaayega yeh kaam.

Jitnee dhan-daulat badhe, utna zyada adaa karein farz gupt daan ka
Prayaas karein swayam ke charitra ke nirmaan ka
Mann mein badhaate chalein utsah is armaan ka
Is se hoga sammaan Guruji mein basey Bhagwaan ka.

Dheere dheere saaf hoga mann
Bann jaayega veh sadasheel upvan
Mann mein hogi sadbhaav kee hariyaali
Mann kee gati hogi shubh aur niraali.

Chaahe atma-nireekshan ko samjhein hum majboori
Ye har haal mein hai zaroori
Isee se atma-sudhaar kee koshish hogi poori
Aur kumm hogi atma aur Paramatama ke beech kee duri.

Is duri ko mitaana hee toh hai
Is zindagi ka maqsad
Isey poora karne ke liye
Paar kar dein hum har hadd.

Aisee hadd paar karne mein hee hai asal uddhaar
Mann ko apna daas banaayein, taaki veh sudhaar ko karey sweekaar
Atma-nireekshan mein jo hoga sabka apne apne mann se saakshaatkaar
Toh sabke uddhaar se unnat ho jaayega yeh saara sansaar.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Atma-Nireekshan (01/03/2022)

Parwardigaar Ka Paawan Pyaar (01/02/2022)

January 2, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1414

Parwardigaar Ka Paawan Pyaar

Yahaan der nahin andher nahin
Gar der ho toh vahee hai sahi
Yahaan waqt par sada se Guruji kee hukoomat hai rahi
Ye Guruji ka darbaar hai, yahaan saboori beshumaar hai.

Yahaan bichhde huey mil jaate hain
Yahaan patjhad mein phool khil paate hain
Yahaan atal pahaad hil jaate hain
Ye Guruji ka darbar hai, yahaan himmat baarambaar hai.

Yahaan neeyat ko parkhaa jaata hai
Yahaan insaaf mil paata hai
Yahaan Guruji ka bulaava laata hai
Ye Guruji ka darbar hai, yahaan nyaaya ka aadhaar hai.

Yahaan har mausam mein basant kee taazagi hai
Yahaan saralta, yahaan saadagi hai
Yahaan kayion kee soyi kismat jagi hai
Yeh Guruji ka darbar hai, yahaan sadbhaav kee bahaar hai.

Yahaan kalyaan aur komalta hai
Yahaan niswaarthta aur nirmalta hai
Yahaan taralta hai
Yeh Guruji ka darbar hai, yahaan mamta aparampaar hai.

Yahaan sewa, simran, satsang hai
Yahaan Guruji ka sanatan sangg hai
Yahaan samarpan aur shukrana ka rangg hai
Yeh Guruji ka darbar hai, yahaan Parwardigaar ka paawan pyaar hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Parwardigaar Ka Paawan Pyaar (01/02/2022)

Har Saal (01/01/2022)

January 1, 2022

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1413

                         Har Saal

Har saal saal toh badal jaata hai
Is baat se waakif hain sab
Lekin hum swayam ko badlein toh baat baney
Taaki khush ho jaayein Rabb.

Jo bhi achchaayiyaan hain hum mein
Unhe banaayein aur bhi prabal
Apni kamzoriyon par kaam karein
Aur Unhe sadguni taakat mein dein badal.

Dekhkar hamaari nek neeyat
Guruji karenge aur bhi inaayat
Isliye badal kar apni soch aur gunn
Gungunaate rahein Guruji ke naam kee dhun.

Manovikaar roopi panj chor hain bahut bhayankar
Poora prayatna karein hum ki vikaar mann mein na banaayein ghar
Vikaaron ko aakraman karte rehne se rokein bina kisee darr
Taaki mann ka swaasthya ho jaaye pehle se bhi behtar.

Saath hee ninda chugali jhooth se rahein duur
Na hon kisee aur ke prabhaav se charitra mein girne par majboor
Ahinsa ho mann, soch, karam, aur vaani mein
Vyabhichaar aur irshya ka astitva na ho zindagaani mein.

Badhaate chalein simran aur dhyan
Karein doojon ka aur apna sammaan
Badhaayein gupt paath, gupt sewa, gupt daan
Neeven rahein, na karein kisee bhi baat ka gumaan.

Koshish toh karein apni taraf se
Ki vichaardhaara ko lein moad
Saadagi aur saralta kee oar
Sahaara degi bandagi kee doar.

Baahar aur bheed mein bhatakne ke bajaaye
Khudaayee ko dhoondhein apne bheetar
Prakriti ke prataap ke aagey sir jhukaakar
Kshamaa daan ka maang lein var.

Jo chetna abb takk so rahi hai usey isee pal hum jagaayein
Laalach aur shikaayat chod kar Shukrana karte jaayein
Doojon ko khushi dekar khush rehna seekh paayein
Guruji ke kahe anusaar hum bande bann jaayein.

Har saal ke badalne par hum jo achchaayee kee oar badhte rahenge
Toh Guruji kee mehar se hum adhyatmik seedhiyon par chadhte rahenge
Kya sahi hai, kya galat, Guruji hamein yeh sadbuddhi dete rahenge
Jaise Guruji chaahein, hum vaise bante rahenge.

Har kadam par satark rahein ki hamaari soch ya karam se dukhi na hon Bhagwaan
Jo karunanidhaan nath aaye dharti par karne hamaara kalyaan
Jinkee mamta aur mehar se is shareer mein baste hain praan
Unn pyaare Guruji ko prassann karne mein qurbaan ho jaaye yeh jaan.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Har Saal (01/01/2022)

Aapke Charnon Mein Hai Ardaas (12/31/2021)

December 31, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1412

Aapke Charnon Mein Hai Ardaas

Pyaare Guruji,

Aapke charnon mein hai ardaas
Poori kar deejiye ye aas
Karte rahiye sabhi ka bhalaa
Bakhshiye sabhi ko chardi kala.

Antim din hai aaj is saal ka
Ye saal gavaah hai sabke haal ka
Chaahe is saal par bhi thaa pehra Aapke naam kee dhaal ka
Phir bhi kayiyon ke mann mein yeh sawaal thaa
Ki kyun kitnon ne khoya hai apnon ko
Kyun thes pahunchi hai kitnon ke sapnon ko?

Ye bhi satya hai ki aisa honei ke saath saath
Kitnon ke liye khatm hui andheri raat
Kitnon ko mila jeevan daan
Aapki kripa se, pyaare karunanidhaan.

Jaana hai Aapki sharan mein rehkar
Maana hai is safar mein kaafi kuch seh kar
Ki zaroori hai hum sabke karmon ka katna
Buss, Aap angg sangg rehkar Apni kripa banaaye rakhna.

Barsaate rehna hamesha ke jaise Apni mehar
Jeevan mein chaahe gumm kee raat ho ya ho suhaani sehar
Hum Aapke prem mein rahein magan
Aap mein hee rahe hamaari lagan.

Jo bhi lekha hai hum sabki kismat ka
Vo bhi ichchuk hai Aapki rehmat ka
Aap hee likh sakte Hain usey dobara
Hamein buss hai Aapka hee sahaara.

Aur Aapka sahaara hai sabse uttam
Aap beshak parakhte rahiye hamaara iraada aur hamaara parishram
Kripa kar hum sabko galatiyon ke liye kar deejiye maaf
Hum sabke mann ko kar deejiye saaf
Sumat bakhshiye ki har insaan nibhaaye apna farz
Mehar keejiye, taaki utartaa jaaye hamaare pichhle saare karmon ka karz.

Aapke ashirwaad kee hoti rahe vrishti
Har vipatti se mukt hoti rahe ye srishti
Sadbhaav aur satkarma se sugandhit hota rahe spandan
Badhta chale Aapke naam ka simran aur Aapka vandan.

Jis tareh se Aap chaahein, pyaare karunanidhaan
Karein hum is tareh se sewa, satsang, paath, aur daan.
Aapse jodte rahein seedha naata
Na bhoolein ki Aap rakhte Hain hamaare karmon ka khaata.

Nirogi ho kaaya
Na jakad paaye hamein maya
Shukrana Aapka karte rahein
Jholi apni Aapke ashirwaad se bharte rahein
Aapki oar hee rahe dhyan
Chitt ko roshan karey gyan
Sukh kee ho bahaar
Sakaraatmakta se sajey sansaar
Kisee bhi raat ko bhookha na soye koi bhi praani
Chaahaton ke bajaaye zarooraton ko mahatva de praani.

Jaise jaise har din ka sooraj dhalta rahega
Dukh sukh ka chakravyuh toh chalta rahega
Aisee keejiye hum sab par rehmat
Ki Aap hamaare har vichaar se hon sehmat
Aapko khush rakhne se bada koi dharam nahin
Aap jisey kaat na sakein, aisa koi karam nahin.

Sabke liye ummeed aur ullaas laaye naya saal
Vishwa par se uth jaaye is mahaamaari ka jaal
Har tareh ke ahitkaari paash se hum azad hon jaayein
Aapki sharan mein chardi kala paayein.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapke Charnon Mein Hai Ardaas (12/31/2021)

Har Din Kee Shuruaat Aapse (12/30/2021)

December 30, 2021

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 1411

       Har Din Kee Shuruaat Aapse

Pyaare Guruji,

Har din kee shuruaat Aapse
Har raat ho samaapt Aapse
Rishta hai aapt Aapse
Zindagi hai paryaapt Aapse.

Vrishti mein indradhanush Aapse
Srishti mein ankush Aapse
Sooraj kee garmi Aapse
Chaand kee sheetal narmi Aapse.

Aapke bhakt befikr Aapse
Ve karein zikr Aapse
Bhakti mein shakti Aapse
Bhakti kee yukti Aapse.

Sooraj ka dhalna Aapse
Waqt ka chalna Aapse
Kashton ka talna Aapse
Niyati ka badalna Aapse.

Jeene kee himmat Aapse
Nirbal ko taakat Aapse
Protsaahan aur prerna Aapse
Chayyn aur chetna Aapse.

Mann kee pavitrataa Aapse
Gehri mitrataa Aapse
Mandir banaa mann aur ghar Aapse
Divya darbar aur dar Aapse.

Aapka simran aur dhyan Aapse
Andhkaar mitaane wala gyan Aapse
Hakeekat kee sweekriti Aapse
Laad bhari preeti Aapse.

Apne par vishwaas Aapse
Mitey har traas Aapse
Rishta hai sabse khaas Aapse
Shukrana ka haseen ehsaas Aapse.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Har Din Kee Shuruaat Aapse (12/30/2021)