Khokar Jinkee aankhon kee gehraayee mein Sambhav hai sanatan sukh ke dhan ko paana Jhuk kar Jinke charnon mein Na pade kaheen aur sees jhukaana Ve Hain Guruji Dugri wale Hain Ve sabhi bhakton ke pyaare.
Sunaakar Jinhe mann kee vyathaa Mann halka ho jaata Jinkee sharan mein shuddh bhaav kee hai prathaa Jiske dwaara gehra hota hai naata Ve Hain Guruji Dugri wale Baney Hain Ve sabhi bhakton ke sahaare.
Kar ke Jinka simran aur dhyan Aati hai antarmann mein jaagriti Kar ke Jinkee mahima ka gungaan Sudhar jaati hai naseeb kee aakriti Ve Hain Guruji Dugri wale Hain Ve bhakton ko sumat dene wale.
Jinke satsang sun-ne aur sunaane se Milta hai har baar ashirwaad Jinka mandir mann mein banaane se Mann hota hai divyata se aabaad Ve Hain Guruji Dugri wale Hain Ve mann ko roshan karne wale.
Jinke taral komal nirmal naam se Har nakaaraatmakta badal leti hai rukh Jinke kamal charnon ke paawan dham mein Mil jaata hai saare teerath dham ka sukh Ve Hain Guruji Dugri wale Hain Ve sabke Rab rakhwaale.
Jaante huey ki kitne ayb hain hum mein Na choda Aapne hamein kabhi bhi akela khushi ya gumm mein Dee hamein Aapne Apne aanchal mein suraksha Hamein hamaare gunaahon ke liye bakhsha.
Khauf kee kampan mein jabb Aapne rakha hamaare sir par haath Toh hamaari kampan hui shaant paakar Aapke spandan ka saath Gumm ke aansuon se jabb palkein huin bhaari Toh mann mandir mein Aapka darshan banaa sukhkaari Aapne Apni hatheli par hamaare aansuon ko le liya Aur unhe palkon ka karzdaar bann-ne se bachaa liya.
Jabb kabhi vishwaas dagamagaaya toh Aapne usey kiya kaayam Hamaare naseeb mein thi jo sakhti usey Aapne Apni nirmal narmi se kiya mulayam Isliye toh buss itne se hee kasht ho rahe hain Kyunki Aap Apne kandhon par hamaare baaki saare kasht dho rahe Hain.
Tann aur mann kee aarogyata ka dete Hain Aap daan Lauta dete Hain zamaane ke zulm se khoya hua bhakton ka sammaan Aapke hukm se hee apni aukat mein rehte hain ye zameen aur aasmaan Aapki inaayat par nirbhar hai ye saara jahaan.
Aisa hunar deejiye, Daata, ki shukrana mein rehna Bann jaaye avastha hamaare mann kee Aur neeven mann se sadaa izzat karein Aapke sangg baney is paawan rishte ke dhan kee.
Hum chaahe hon swaarthi insaan Lekin Aap sada rahe Hain dayalu Bhagwaan Har janam mein har saans se bhi karein Aapka Shukrana hum insaan Toh bhi kabhi nahin chuka paayenge Aapka ehsaan.
Chaahe hogi teri ya phir veh hogi meri Ek hee jaisi hogi sabke shareer kee raakh kee dheri Rutaba ya roop jaisa bhi ho Sab marne par jaata hai kho Uss raakh mein tann jaata hai so Jabb bhi nirdhaarit karta hai Vo.
Vo Paramatama, Vo Ishwar Jisne banaaya hai hamein nashwar Isliye shareer mein moh na dhar, aye praani Shareer khatm ho jaayega jaise hee khatm hogi zindagaani.
‘Body’ ho jaayega tera aur mera naam Jald se jald hoga hamaari vidaayi ka intazaam Yahee prathaa kabb se chali aa rahi hai Har ek kee zindagi yahee anjaam suna rahi hai.
Atma ka jo bhi naseeb hoga iske baad Is faisle ke liye Guruji kholenge hamaari kitaab Prabhu ka naam kitna japaa, atma ko dena hoga iska jawaab Karam kaise rahe hamaare, uska bhi hoga hisaab.
Isliye Guru aur Gobind ka japp le naam Is naam ne hee aana hai kaam Is naam mein hee hai hamaari mukti ka paigaam Isee se pahunchege hum sachkhand ke dhaam.
Hamaare liye Guruji mein basey Hain MahaShiv Bhagwaan Hamaare adhiktar karam swayam par lekar hamein taarte Hain karunanidhaan Karte Hain bhakton ke antakaran ka pavitrikaran Rehti hai Unhe har bhakt kee har soch smaran.
Unkee sharan mein Unkee mehar se Mulaakaat karte rahein har din sudhaar kee sehar se Apni har soch aur apne har karam par dein hum dhyan Guruji ka naam jap kar ke karein har pal ka sammaan.
Mann hee mann mein chalta rahe paath Karmon ka bhugtaan hota rahe saath saath Taaki jabb raakh bann-ne kee aaye baari Toh karmon ka bojh na ho bahut bhaari.
Khushakismat hain hum jinhe Guruji ne hai sweekaara Hamaare anginat ayb ke baavjood diya hai Unhonei hamein sahaara Har bhakt pahunchega sachkhand Unkee mehar ke dwaara Aur phir veh raakh kee dheri na banega kabhi bhi dobaara.
Yahee hakeekat hai teri aur meri Isliye chod kar karmon mein hera pheri Na karein swayam ke sudhaar mein deri Na jaane kis pal tann bann jaayega raakh kee dheri.
Makar Sankraanti aayi Lohri ke ek din baad Kheton mein fasal aane ke utsaah se Saj gaye jazbaat Surya Dev ko samarpit kiya jaata hai ye tyohaar Lambe dinon ke aane ka khatm hota hai intazaar.
Gujarat mein Uttarayan ke naam se is parv ko pukaarein Assam mein isey Bihu naam se jaanein Uttarakhand mein isey Gughuti keh kar bulaayein Maagh Saaji hai iska naam, Himachal wale bataayein.
Tamil Nadu mein Pongal isey kaha hai jaata Aur ye tyohaar Karnataka mein Ugaadi ka naam hai paata Magha Sankraanti bhi hai is parv ka dooja naam Har naam mein hai shubhta ka paigaam.
Kaheen nutan chawal se kheer banaayi jaati hai Aur kaheen kaheen til aur gurh kee chikki aur barfi khaayi jaati hai Dal aur chawal kee khichadi khaane ka bhi hai riwaaj Ghar ke saath saath antar-mann kee safaai bhi karein aaj.
Patang udaane ke saath saath Uss Satguru ko karein yaad Jinhonei thaami hai doar hum patangon kee Karein Unse sanaatan saath kee fariyaad.
Kauon aur chidiyon ko khilaayein mishthaan aur ann Bator lein gupt sewa aur daan ka anmol dhan Naye kapadon se sajaayein yeh shareer puraana Sudhaarein atma ke sanskaaron ka khazaana.
Guruji ke diye prasad ke roop mein Kshudha kee bhookh mitaane hetu khaayein swaadisht pakvaan Atma ke poshan ke liye Karein hum simran aur dhyan.
Lohri ke jaise Makar Sankraanti ka tyohaar Beet jaayega jaise beet-ta hai har baar Jaari rakhein hum antarmann aur ghar kee safaai Sikhaati hai ye hamaare Guruji kee guruyaayee.
Saari sarbat ke liye dua sada karein Sehyog dwaara apna farz adaa karein Sabhi uthaayein zimmedaari swayam kee aur sansaar kee Sabhi ko bahut pyaar bhari mubarak ho is tyohaar kee.
Makar Sankraanti kee poorva sandhya par Lohri ka tyohaar hai aaya Sharad ritu hai jaane wali Yeh sandesh hai laaya.
Surya Dev ka karo naman Lambe honei lagey hain din Antar mann mein bhi prakash ho Kisee bhi nakaraatmakta ke bin.
Dulha Bhatti ka karo sammaan Karke geeton mein Unka gungaan Ladkiyon ko shoshan se mukt karvaaya Unka yogya varon se vivah karvaaya Kitne parivaaron ka uddhaar kiya Samaj ka sudhaar kiya.
L se lakdi, oh se uple, aur ri hai revri ka prateek Mausami parv hai aaya, gaa lo milkar geet Daksh kee putri Maa Sati ka jo hua yoagaagni mein dehen Unhee kee yaad mein jalaayi jaati hai agni, kuch loag aisa bhi kahein Agni kee parikrama karke agni ko revri kee bhent chadhaao Aag ke aaspaas baitho, aur vaataavaran ko harsh se sajaao.
Guruji kee ruhaani maujoodagi aaj bhi Apne bhakton ke sangg hai hoti Chaahe ho koi bada tyohaar ya phir chaahe ho koi baat chhoti Isliye Ve Lohri par bhi Hain saath Tabhi toh anugrihit hai is tyohaar kee raat.
Bhangra kar lo, gidda paao Guruji ke sangg Lohri manaao Gajjak aur gurh jee bhar kar khaao Guruji ko sabse pehla nivaala khilaao.
Simran aur sewa na chodo Satsang bhi suno sunaao Makki kee roti, sarson ka saag banaa sako toh changaa Ya phir langar mein jo Guruji aur tum chaaho, tum vahee banaao.
Baaki har tyohaar ke jaise Vehemon ko na banaane do mann mein ghar Prem bhaav se tyohaar manaao Jis se khush hongei Guruvar.
Guruji se dua hai ki Lohri ka tyohaar Laaye saari sarbat ke liye khushiyaan kayi hazaar Jo bhi hain tann ya mann se beemar Unke roag ka ho jaaye antt Guruji saari srishti par Mehar barsaayein anant.
Kalkatta mein hua janam Narendranath Datta ka Jo aagey chalkar baney Swami Vivekananda Taareekh January 12 thi, 1863 ka thaa saal Aaj takk duniya maanti hai Unke jeevan ko bemisaal.
Darshan shaastra ke adhyayan ke dauran Unhe Ramakrishna Paramahans ji se milne ka mila avsar Pehle pehle toh kewal sanvaad chale dono ke darmiyaan Lekin pita kee mrityu ke pashchaat Shri Ramakrishna baney Unke Guruvar.
Jab Guru ne tyaag diya apna shareer Toh Ve de gaye apne shishya ko choga apna Sadhu ka jeevan jeena shuru kiya Vivekananda ji ne Poora kiya dharmik ekta ke prachaar ka sapna.
Gaye Ve desh ke kayee praanton mein Aur gaye Ve videsh Har jageh insaaniyat ke dharma ka mahatva samjhaaya Aur diya ekta aur saamanjasya ka sandesh.
Subhash Chandra Bose aur Mahatma Gandhi ne bhi Swami Vivekananda ka kiya poorna sammaan Darshan shastra aur yog par aadhaarit shastron kee rachna kee Unhonei Swami Vivekanand ji ko thaa prashansneeya adhyatmik gyan.
Ramakrishna Ashram ka hua Swami Vivekananda ji ke netritva mein nirmaan Maanav jaati mein jaagriti laana thaa Unka mahatvapoorna yogdaan.
Karmakaandon se duur karna chaaha Unhonei jann jann ko Taaki bheetar kee chetna ko jaagrit karne mein sabb magn hon Ve chaahte thei ki andhvishwaas ka ho jaaye antt Taaki maanav jaane ki uska adhyatmik saamarthya hai anant.
Apne Guru Shri Ramakrishna ka maana Unhonei har vachan Samaj mein sudhaar laane ka kiya Unhonei poorna yatan Aaj Swami Vivekananda kee saalagirah par Hum bhi apni bhakti mein laayein naya utsaah Aur kehna maanein Guruji ka Jo har pal dikhaate Hain hamein jeene kee raah.
Andhvishwaas aur vehemon se rahein hum duur Na hon kisee bhautikvaad se hum majboor Banda bann-ne kee koshish karein Guruji ke kahe anusaar Insaaniyat ka dharma nibhaakar sanvaarein ghar parivaar aur yeh sansaar.
Taruvar ke patton kee sarsaraahat Hawa ke har jhonke kee aahat Ekant mein basee hui veh raahat Inse duur ho jaati hai meri thakaavat.
Prakriti ke aise anmol nazaaron se Aksar karti hoon baat Akelapan nahin hota Kyunki Guruji sada hotey Hain saath.
Jabb se judi hai Guruji se seedhi taar Nazariye mein hua hai salona sudhaar Mann kee aankhein nihaarti hain Guruji ka dwaar Guruji kee divya pukaar ka hee rehta hai intazaar.
Har taruvar ka har patta, har din aur har raat Ye sab hain Unhee kee dee hui saugat Ye dharti, akash, agni, vayu, aur yeh jal Guruji ka hukm paate hee andaaz lete hain badal.
Baat hee kuch aisee hai pyaare Guruji mein Ki har koi aakarshit ho jaata hai Unkee oar Waqt bhi Unka das hai, usey na nachaa sakey koi aur Unke ek aadesh se ho jaati hai raat mein bhi bhor.
Guruji, anantam Shukrana aisee bhor ka Ye bol hai mere mann ke moar ka Kudrat ke har karishme ko mai nihaari jaaon Aapki divya leela par toh mai vaari jaaoon.
Prakriti Aapke aanchal mein jaaye sambhal Meri jaagriti badhe jaise jaise har din ka sooraj jaaye dhal Taaki mai Aapki kripa se aane wali subah mein Srishti ko apna sakaaraatmak yogdaan de paaoon Sumat bakhshiye daata mere, ki mai Aapki har raza mein Samarpan aur shukrana ke bhaav se raazi reh paaoon.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻 Dhirja
Jabb Se Judi Hai Guruji Se Seedhi Taar (01/11/2022)
Satguru kee nadar se ho jaata hai bhakt ka uddhaar Satguru kee mehar se sanvar jaata hai sansaar Satguru kee mehar hee toh laati hai jeevan ke rukh par nikhaar Satguru kee mehar se ho jaata hai beda paar.
Chaahe mayoosi ke mahaul mein lamba lagey intazaar Uss dauran bhi Guruji laa rahe hotey Hain sudhaar Chaahe bhakt dekh nahin sakta apni seemit drishti ke paar Guruji laa rahe hotey Hain bhavishya mein kalyaan kee bahaar.
Guruji Hain MahaShiv roopi Parwardigaar Unse miltee Hain saugatein beshumaar Isliye zaroori hai giraani sanshay kee deewar Taaki ve saugatein hum takk pahunchein Guruji ke hukm ke anusaar.
Guruji chaahte Hain ki kumm kumm se ho hamaara intazaar Tabhi toh sewa, simran, satsang karne ko kehte Hain paalanhaar Inhee se behtar hota jaata hamaara bhi vyavhaar Aur Guruji kee mahima karte karte waqt beet jaata bin todey sabr kee deewar.
Aur phir Guruji ke aagey toh waqt kee bhi hoti hai haar Aise paraakrami Hain hamaare Satguru sarkar Paap harte aur karmon ka bhaar lete Hain Ve taaranhaar Bheetar se saaf karne ka vaada nibhaate Hain sirjanhaar.
Har moad par har raah par Unka saath hota hai har baar Kabhi akele nahin chodte chaahe aayein museebatein hazaar Jo doojon ne chheen liya ho, vaapis dilaate Hain veh adhikaar Har pal yaad dilaate Hain ki Unkee mahima hai aparampaar.
Maanav chole mein nahin Hain abb, phir bhi Unkee maujoodagi se koi nahin kar sakta inkaar Har shraddhaalu bhaktjann ko hai is satya se ikraar Ruhaani raaste par chalaakar samjhaate Hain Ve jeevan ka mool saar Moksh ke liye tayyaar kar ke vahaan takk le jaate Hain kirpadhaar.
1666 mein Patna ke shehar mein December 22 ke shubh pehar mein Maa Gujri aur Guru Tegh Bahadur ke putr ka hua janam Jinke noor se aur bhi roshan hua insaaniyat ka dharam.
Nau varsh kee chhoti aayu mein Baney Ve sikhon ke dusvein Guru Prerit karne lagey samaaj ko Hui Unkee guruyaayee shuru.
Pehle Unka Gobind Rai thaa naam Thei Ve kavi aur yoddha mahaan Phir Ve Guru Gobind Singh ji kehlaaye Aur Unhonei bhakton ke bhaagya sajaaye.
1699 mein Baisakhi ka din banaa yaadgaar Khalsa panth kee sthaapana se kritagya hua sansaar Guru Gobind Singh ji ne Anandpur mein kiya aayojit ek sammelan Aur panj pyaaron ko karaakar amrit paan kiya Unhonei unka kalyaan.
Kanga, Kara, kachchera, kesh, aur kirpaan Tabhi se huey Khalsa kee shaan aur unka maan Guru Gobind Singh ji ne anyaaya ke khilaaf awaaz uthaayee Unke har kaam mein pramanit hui Unkee vadiyaayee.
Shri Guru Granth Sahib ji ko Unhonei kiya poorna In granth ko Guru ka darja dekar sammaan diya sampoorna Har moad par Ve nirdhan aur nirbal ke saath rahe khade Paapon ko mitaane ke liye Unhonei Mughalon se kayee yuddh ladey.
Dharma ke liye apne poore parivaar ka kar diya balidaan Sarbansdaani keh kar pukaare gaye, kar ke Ve aisa daan. Sant sipaahi bhi bulaaya jaata thaa Unhe pyaar se Sabhi bhakt itne anugrihit thei aise Nirankar se.
Shri Guru Gobind Singh ji kee shakti aur bhakti dono thei aparampaar Vaani mein thi madhurta, vyavhaar mein thaa pyaar Satya kee jeet hogi hee hogi, Ve kehte thei baar baar Karmayog ke siddhaanton se sushobhit thaa Unke jeevan ka saar.
Anyaaya se ladte ladte mughalon dwaara saha Unhonei atyachaar Lekin dharma par aanch na aane di, itne mahaan thei Guru Gobind Singh ji ke vichaar Apni mehar aur mahima se nikhaari Unhonei kitnon kee taqdeer October 7, 1708 ko tyaag diya Unhonei Apna shareer.
Guruji apni sangat ko sunvaayein Gurbani Jinke shravan aur manan se sanvar jaaye zindagaani Guru ke ashish se nikhar jaati hai kismat kee kahaani Satguru amrit kee khan Hain, Unkee mehar se tarr jaate hain hum sabb praani.
Aaj hai Guru Gobind Singh ji ke janam divas ka shubh avsar Gurbani ka shravan, manan aur anusaran karte rehne ka vaada karein hum is parv par Shri Guru Gobind Singh ji ke Prakash Purab ki ho sabhi ko bahut badhaayi Yeh paawan tithi sab bhakton ke liye sadbhaav ka paigaam hai laayi.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻 Dhirja
Shri Guru Gobind Singh Ji Ka Prakash Purab (01/09/2022)
Na hai meri koi aukat Phir bhi milee hai Aapke ashirwaad kee saugat Is se shubh nahin hai mere liye koi bhi baat Is saugat ke liye mai Aapka dhanyawaad karoon din raat.
Atyant hitkaari hai Aapka paawan ashish Milee hai isee ashish dwara simran aur sewa karne kee bakhshish Aap Devon ke Dev Hain, aur Hain har praani ke Ish Aap hee Jagdish Hain, Aap hee Hain Gireesh.
Yeh saans jo mai le paati hoon Yeh sees jo mai nivaati hoon Har kaam jo mai kar paati hoon Veh Aapki mehar kee misaal hai Varna meri aukat toh itnee tucch hai Kyunki meri atma toh paapon se maalamaal hai.
Yeh prakriti ka nirmal nazaara Akash mein timtimaata har tara Yeh sansaar saara ka saara Sakriya hai paakar Aapka sahaara.
Bhakton ke gunaahon ko Aapne sada hai baksha Karte Hain sadaiv Apne bachchon kee Aap raksha Mai bhi hoon Aapki ek aisee hee bachchi Aapke bin hoon kuch bhi nahin, yeh baat hai shat pratishat sachchi.
Meri toh poori kaayinaat mein ek tinke kee bhi aukat nahin Kaise jaan sakoon mai ki mere liye kya galat hai aur kya sahi Aap maargdarshan karte rehna taaki mai chalti rahun vaheen Jahaan Aapko sajda karte huey jhuki rahe zameen Jahaan Aapki mehar ke barasne se spandan ho shubh aur haseen Kyunki Aapke ashirwaad ke bin toh chayyn nahin hai kaheen.